Tuesday 1 April 2014

Mata Pita Chalisa - Kanu Butani



















Mata-Pita Chalisa By Kanu Butani
Doha
Shree Ganesh Ka Naam Leke, Bolo Jai Shree Ram,
Maat Pita Ki Vandana Gaa, Chit Dharoon Vishram.
Maan Ke God Mein Baithkar, Khele Bachpan Saara,
Pita Ke Sang Duniya ka Samjha Khel Saara.
Chaupaee
Jai Jai Maat Pita Ko Vandan,Unse Juda Rahe Yeh Jeevan.
Maat Pita Ki Asees Lekar, Dinchariya Tu Apni Shiru Kar.
Pairoon Ko Chooke Tu Unke, Apna Sar Rakh Charnoon Mein.
Jeet Jayega Hari Bazi, Rab Bhi Tujhpe Hoga Razi.
Maat Pita Ke Aankh Mein Aasoon, Dukh Ke Na Kushi Ke Harsoon.
Jisne Hardam Diya Hai Sukh, Unko Kabhi Na Dena Dukh.
Unke Hi Milan Se Jano, Tum Is Jahan Mein Aaye Ho.
Voh Dono Hai kewal Sach, Baki Sara Jhootha Jag.
Paap Hai Unko Dukh Dena, Punya Hai Seva Karna.
Maata Yashoda Krishn Ki Maiya, Nand The Jinke Bapaiya.
Unki Leela Hasati Thi, Kabhi Na Voh Rulati Thi.
Ram Purshotam Putr Mahan, Kaushalya Dashrath Ki Tha Shaan.
Pita hukum Sar Aankhon Par, Liye Nikla Banwas Par.
Shravan Tha Sarvsreshth Putra, Mata Pita ko Karaye Teerth.
Apne Kandhon Par Lekar Voh, Dono Ko Yatra Karata Voh.
Putri Seeta Ne Hardam Mana, Apne Pita Ka Sanmana.
Janak Ne Swamwar Rachaya, Usko Ram Sang Vida karaya.
Ab Tera Sasural Hai Sabhkuch, Tere Pati Ka Maan Hai Sabhkuch.
Maat Pita Sad Vandniya hai, Charan Tina Ke Chandniya Hai.
Unki Mahima Jitni Gaoo, Unki garima dugni Paoo.
Gandhari Bandhi Akh Pati, Drathrash Se The Bihaye.
Saalon Bad khol pati ko, dekha putr Duriyodhan Ko.
Ab Koi Na Maar Sakega, Itni Shakti Se Bhar Diya.
Shankar Aur Gauri Ka Baalak, Hai Sare Srishti Ka Palak.
Mata Pita Ne Var Diya usko, Pahele Sab Dhiyayenge Tujhko.
use Sahgurn Samporrn Kiya, Ved Puran Se Nipurn Kiya.
Kans Kaher Se Bachne Ko, Bhej Diya Door Kirshn Ko.
Aadhi Rat Jab Janam Liya, Sabse Use Tha Chipa Diya.
Devki Vasudev Dekhe Khilkar, Phir Tokri Mein Rakha Milkar.
Tej Tufan Bahav Tul Mein, Pahuchaya Surakhshit Gokul Mein.
Mata Pita Rakhshak Hai Dani, Pahuncha Nahin Sakte Ko Hani.
Unki Kar Dil Se Seva, usmein Payega Meva.
Anmol Janm Jo Prapt Hai, Mata Pita Ki Daulat Hai.
Anjana Kesri Ki Bhakti Se, Shiv Atishay Prasan Hoove.
Var Diya Ek Putra Roop Mein, Hanuman Unko Janmein.
Hanuman Veerta Ankahi, Mata Pita Ne Usko Di.
Apna Madh Tu Kar De Choor, Le Maat Pita Ke Charan Ki dhoor.
Swarg Dham Ki Prapti Hogi, Rogi Na Bhogi Banega Jogi.
Mata Pita Syo Sajau Sansaar, Unsang Ghar Banao Darbaar.
Kanu Le Maat Pita Ka Naam, Uske Toh Vohi Charoon Dhaam.
Doha
Maat Guru Hai, Pita Guru Hai, Guru Ka Darja De Unko,
Unka Vachan Bhagwan Syon, Apnale Jeevan Mein Unko